AISA KABHI NA KARNA

Tum rooth jaoo mujhse
Aisa kabhi na karna
Main ik Nazar ko tarsun
Aisa kabhi na karna
Main Pooch Pooch haarun
So so sawaal kar ke
Tum kuch jawab na do
Aisa kabhi na karna
Mujhse hi milke hasna,Mujhse hi milke rona
Mujhse bichard ke jee lo
Aisa kabhi na karna
Tum chaand banke rehna
Main dekhta rahunga
Kisi roz tum na niklo
Aisa Kabhi na karna
Tum chale jaoo
Jab bhi to dekhun tumhara raasta

Tum loat ke na aaoo

AISA KABHI NA KARNA
AISA KABHI NA KARNA

Custom Stickers, Die Cut Stickers, Bumper Stickers - Sticker Mule